Ye na thi hamaari qismat k visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yehi intazaar hota

Tere wa’de par jiye ham to ye jaan jhooT jaana
K khushi se mar na jaate agar aaitbaar hota

Teri naazuki se jaana k baNdha tha ehed booda
Kabhi tu na toR sakta agar ustavaar hota

Koi mere dil se poocHe tere teer-e-neem-kash ko
Ye khalish kahaN se hoti jo jigar k paar hota

Ye kahaN ki dosti hai k bane hain dost naaseh
Koi chaarah-saaz hota koi gham-gusaar hota

Rag-e-sang se Tapakta wo lahu k phir na thamta
Jise gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota

Gham agar-cheh jaaN-gusal hai pe bachein kahaN k dil hai
Gham-e-ishq gar na hota gham-e-rozgaar hota

KahuN kis se main k kya hai shab-e-gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marna agar eik baar hota

Huey mar k ham jo ruswa huey kiyuN na gharq-e-darya
Na kabhi janaazah uThta na kahiN mazaar hota

Usey kaun dekh sakta k yagaana hai wo yakta
Jo doi ki bu bhi hoti to kahiN do-chaar hota

Ye masaail-e-tasavvuf, ye tera bayaan Ghaalib
Tujhe ham walee samajhte jo na baadah-khwaar hota

VN:F [1.9.2_1090]
Rating: 0.0/10 (0 votes cast)
VN:F [1.9.2_1090]
Rating: 0 (from 0 votes)

Technorati Tags: , , , ,