Bahadur lerki
Main ek kamzor lerki thi
sahara dhond-ti phirti thi
kissi ke daman main chupna
kissi ki nighahoun main rehna
kissi ke saath hans-na aur rona chahti thi
jab who saath milla
to apna aap hi kho gaya
ander ka san-nata aur ziada ho gaya
magar iss tanhayee ne bahadur bana dia
umeed ka her ek dia bhuja dia
ab main ek bahadur lerki houn
ander hi ander darti rehti houn
khud hi hans-ti aur khud hi roti rehti rehti houn


















ہماری دوستی ٹیلی نار جیسی نہیں کہ بس
“Talk-shawk”
موبی لنک جیسی بھی نہیں کہ
“Aur-sunao”
وارد جیسی بھی نہیں کہ بس
“Life-ka-Network”
زونگ جیسی بھی نہیں کہ بس
“sab-keh-do”
PTCL
جیسی بھی نہیں کہ بس
“Feel-the-difference”
یہ تو
Ufone
جیسی ہے کیوں کہ
“Tum-hi-to”
ھو
I did not know how to create a new post,hence writing it here.Sharing my nazm.
WAQT-E-FURQAT
Yeh waqt-e-furqat kitna kathin hai meri jaaN
Hoga mushkil maanaa tha, magar itnaa mushkil
Socha bhi naa thaa
Woh chaNchal si khilkhilahat
Woh tumhari maNd maNd si muskaan
Woh tumharay badan say aatay bahaar kay jhoNkay
Woh tumhaari saadgi maiN daanaai kay imkaan
Woh tumhaaraa meri baahoN maiN duniya ko bhool jaanaa
Woh behtay ashkoN maiN laraztay laboN ka muskuraanaa
Woh tumhaari pal pal ko shiddat say jeenay ki chaah
Woh tumhaari nazar maiN phool say komal khwaaboN ki raah
Woh tumhaari dabdabaai aaNkhoN maiN unkahayay sawaal
Woh tumhaaray ghanay dasht say gasuoN ka jamaal
Woh tumhaaray hoNthoN ka tilsmee khumaar
Woh tumhaaraa mujh par beloss aitbaar
Bahut yaad aataa hai yeh sub meri jaaN
Aur yaad aataa hai bahut tumhaaraa woh-
“SUNO NA”
————————————