Darya ki hawwa tez thi, kashti thi poorani
Roka to bohat, dil ne magar ek na man-ni

Main bheeghti aankhon se ussey kaisey hataoun
Mushkil hai bohat abar main dewaar uthani

Nikla tha tujheyy dhoondney ek hijar ka tara
Phir uss ke ta’aqub main gaye, saari jawaani

Kehney ko naye baat koi ho to sunayein
Sou baar zamaney ne suni hai yeh kahaani!

Kiss tarah mujhey hota guman, tarak-e-wafa ka
Awaaz main thehrao tha, lehjay main rawaani

Ab main ussey qaatil kahoun Amjad ke maseehah
kia zakhm-e-hunar chorr gaya, apni nishaani!!!

From “Zara phir se kehna”

Technorati Tags: , , ,