Shikista lakh ho nayyia kissi ki
nahi sunta magar darya kissi ki
zaruri kiyun hai zakhm-e-bewafaye
guzarti kiyun nahi, tanha kissi ki
kissi ke saath saaya tak nahi hai
kissi ke saath hai dunya kissi ki
mein aankhon main sajaye phir raha houn
nishaani hai mera sehhra kissi ki
puraney malgajey kapron main Amjad
bhari kuch aur bhi shobha kissi ki














