Enjoy a beautiful ghazal by Mr Munir Niazi.

Gham ki baarish ne bhi tere naqash ko dhoya nahii
Tu ne mujh ko kho dia, maine tujh ko khoya nahii

Neend ka halka gulaabi sa khumaar aankhon main tha
Yun laga jaisey woh shab ko dair tak soya nahii

Har taraf deewar-o-dar aur unn main aankhoun ka hajoom
Keh sakey jo dil ki halat woh lab-e-goya nahii

Jurm aadam ne kia aur nasl-e-adam ko saza
Kat-ta hun zindagee bhar maine jo boya nahii

Jan-ta houn aik aesey shakhs ko main bhi Munir
Gham se pathar ho gaya lakin kabhi royya nahii

Technorati Tags: , , ,