Machali jal ki rani hai

Panch choohey ghar se nikley
kerney chaley shikaar
Ek chooha reh gaya peechey
baqi reh gaye chaar
Chaar choohey jhosh main aa ker
lagey bajaney been
Aik choohey ko aa gayee khansi
baqi reh gaye teen
Teen choohey dar ker bolay
ghar ko bhaag chalo
Ek choohey ne baat na mani
baqi reh gaye do
Do choohey phir mil ker baithey
donno hi they naik
Ek choohey ko kha gaye billi
Baqi reh gaya aik
Aik chooha jo reh gaya baqi
ker li uss ne shaddi
biwi iss ko milli laraka
yun hui barbadi (by Sufi Tabbasam)

Ek do meri baat suno
teen chaar channay maslay-dar
paanch chaye tum ne khaye they
saat aath Qutab sahib ki laath
nou das AAm ka meetha rass (by Sufi Tabbasam)

Machlli(fish) jal kia raani hai
jeevan uss ka paani hai
haath lagao gey to dar jaye gi
Paani se nikalo gay to mar jaye gi
paani main usko rehney do
jeevan uska paani hai
machalli jal ki raani hai

Raja ke baagh main soney ka phal(fruit)
Chiroun(birds) ne chug liya raja ka phal
Raja ne kaat diye chiriyon ke par
Chiriya boli chu chu chu
Raja bola ha ha ha
chiountiyun(ants) ne khainch liye raja ke paoun
Raja gira dham dham dham!

Dhobi aya
Dhobi aya
Kitney kaprey laya
aik, do, teen
Chaar, paanch, chaye
Saat, aath, nao
Das aur bas!

Chamcha lamba, thaali gol
bandar le ker aya dhool
Pair pe nacha kala naag
chooha gata aya raag
chaand pe ja ker kooda shair
billi kha gaye sarey bair
chancha thali le gaya saath
munna reh gaya khali haath (by Sufi Tabbasam)

Suno ghap shap, suno ghap shap
Nao main naddi doob chali

Haathi ko chiyounti ne peeta
Maindak shor machaye
Aoonth ne aa ker dhol bajaya
Machlli gana gaye
Suno ghap shap, suno ghap shap
Nao main naddi doob chali

Aadhi raat ko chaand aur sooraj
Baadal ke ghar aye
Bijli ne darwaza khola
Teenoun hi ghabraye
Suno ghap shap, suno ghap shap
Nao main naddi doob chali

Shair aur bakri mil ker baithey
Ghora ghaas na khaye
teenoun apni gidd ke pakkay
Kon kissey samjhaye
Suno ghap shap, suno ghap shap
Nao main naddi doob chali

Technorati Tags: , ,