Ghazal by Amjad Islam Amjad Darya ki hawwa tez thi, kashti thi poorani Roka to bohat, dil ne magar ek na man-ni Main bheeghti aankhon se ussey kaisey hataoun Mushkil hai bohat abar main dewaar uthani Nikla tha tujheyy dhoondney ek hijar ka tara Phir uss ke ta'aqub main gaye, saari jawaani Kehney ko naye baat koi ho to sunayein Sou baar zamaney ne suni hai yeh kahaani! Kiss tarah mujhey hota guman, tarak-e-wafa ka Awaaz main thehrao tha, lehjay main rawaani Ab main ussey qaatil kahoun Amjad ke maseehah kia zakhm-e-hunar chorr gaya, apni nishaani!!! From ... Read More